Hai Zul Ashira Ki Dawat Se Inqilab e Ghadeer Hasnain Akbar 2023
Hai Zul Ashira Ki Dawat Se Inqilab e Ghadeer Hasnain Akbar.
Likhi Hoi Abu Talib Ki Hai Kitab-e-Ghadeer.
Ali Ka Hath Mila Our Na Mustafa Ki Sand.
Zamana Dhondta Hi Reh Gaya Jawab-e-Ghadeer.
Do Bhaiyon Ke Safar Se Hai Aya-e-Qausain.
Do Bazuon Ki Sand Se Hai Intesab e Ghadeer.
Idhar Rasool Ki Masjid Udhar Khuda Ka Makaan.
Kiya Hai Phir Bhi Muhammad Ne Intehab e Ghadeer.
Hamara Nasha Khird Hai Khumar Danai.
Pila Gaye Hain Muhammad Humein Sharab-e-Ghadeer.
Hazaron Loag They Ik Sath Dhop Chaon Mein.
Hazar Rang Se Ubhra Tha Aaftab-e-Ghadeer.
Abu Turab Ko Kehte They Loag Jab Bakhin.
Abba Abba Ki Sada Deti Thi Turab e Ghadeer.
Manadi Karti Hai Ab Tak Darar Kaba Ki.
Hai Baab-e-Bait Elahi Ke Sath Baab-e-Ghadeer.
Hamara Rab Chala Aata Hai Badilon Pe Sawar.
Ali Ki Taig Se Ho Ga Har Ik Hisab-e-Ghadeer.
Tha Bagban e Shariyat Ka Hukam So Jabran.
Galay Lagana Para Kanton Ko Ghulab e Ghadeer.
Khuda Na Sota Hai :AKBAR: Na Khuwab Dekhta Hai.
Ossi Ne Jagti Aankhon Se Dekha Khuwab-e-Ghadeer.
Poet: :Hasnain Akbar:
18 Zilhaj Eid e Ghadeer Manqabat 2023