Aa Gayi Bint e Ali Be Rida Hath Bandhay Bhare Bazaroon Mein Lyrics 1999

Aa Gayi Bint e Ali Be Rida Hath Bandhay Bhare Bazaroon Mein Lyrics 1999

Aa Gayi Bint e Ali Be Rida Hath Bandhay Bhare Bazaroon Mein.

Jis Ne Soraj Na Kabhi Dekha Tha Ro Rahi Hai Woh Gunahgaron Mein.

Kaun Jane Keh Yeh Hai Kaun Rasan Pehne Hoye Be Rida Roti Hai Sajjad Ke Pichey Chup Kar.
Siskiyaan Dobi Hain Jis Bibi Ki Haye Zanjeron Ki Jhankaron Mein.

Haye Zahra Teri Qismat Na Mila Haq Tujh Ko Aisi Tazeem Teri Ki Hai Musalmano Ne.
Tera Haq Mangney Aayi Zainab Aik May Noosh Ke Darbaron Mein.

Kahan Zainab Our Kahan Sham Ke Logon Ka Hajoom Sar Barehna Onchi Aawaz Mein Khutbay Parhna.
Khatam-e-Mursal Ka Hawala De Kar Chadrein Mangna Badkaron Mein.

Aag Khaimon Ko Lagi Our They Sajjad Be Hosh Ro Ro Abbas Ko Deti Thi Sadaein Zainab.
Loot Lo Chadrein Syedaniyon Ki Shoor Barpa Tha Sitamgaron Mein.

Kis Tarha Bali Sakina Aaj Baba Ke Beghair So Gayi Chain Se Tanhai Mein Rotay Rotay.
Hichkiyaan Dab Gayin Masooma Ki Haye Zindan Ki Dewaron Mein.

Jis Jagah Majlis-e-Shabbir Ho Barpa :AKHTAR: Chor Kar Baqiya Wahan Roti Hai Zahra Aa Ke.
Baal Kholay Hoye Sar Peetti Hai Apne Pyaron Ke Azadaron Mein.

Poet: :Akhtar Hussain Akhtar:
Soz: :Akhtar Hussain Akhtar:
Noha Khuwan: :Ravi Road Lahore Party:

#AaGayiBinteAli
#NohayLyrics
#tajpoint

Aa Gayi Bint e Ali Be Rida Hath Bandhay Bhare Bazaroon Mein Lyrics 1999 Write Up Poster Image

Aa Gayi Bint e Ali Be Rida Hath Bandhay Bhare Bazaroon Mein Lyrics 1999

Video Link
error: Content is protected !!