Teri Zehra Pay Musibat Ki Ghari Hai 2025 Mir Hasan Mir Lyrics Urdu
Teri Zehra Pay Musibat Ki Ghari Hai 2025 Mir Hasan Mir.
Kaisay Darwaza Hataon Kaisay Mohsin Ko Bachaon.
Sans Seene Mein Ruki Hai.
Teri Ummat Ne Bana Di Hai Yeh Halat Baba.
Koi Pasli Bhi Nahi Meri Salamat Baba.
Sans Leti Hoon Main Jis Dam.
Rukhney Lagta Hai Mera Dam.
Sirf Marne Ki Kami Hai.
Bin Ali Ke Main Zamane Mein Jiyon Gi Kaisay.
Sab Hai Bardasht Yeh Bardasht Karon Gi Kaisay.
Barh Gayi Had Se Adawat.
Teri Beti Ko Yeh Ummat.
Bewah Karne Pe Tuli Hai.
Kabhi Darbar Mein Peshi Ko Bulatay Hain Humein.
Kabhi Darwazay Pe Aa Aa Ke Satatay Hain Humein.
Mere Yeh Phool Se Bachay.
Pochtay Hain Yehi Mujh Se.
Kya Khata Hum Se Hoi Hai.
Guzri Atharah Baras Mein Hi Woh Mujh Par Baba.
Sin Mera Lagta Hai Fizza Ke Barabar Baba.
Khud Gawahi Tumhein De Gi.
Mere Baloon Ki Safaidi.
Woh Jafa Mujh Pe Hoi Hai.
Jab Se Hasnain Ke Baba Se Suna Hai Yeh Kalam.
Keh Mujh Ko Ab Koi Madine Mein Nahi Karta Salam.
Tab Se Yeh Haal Hai Mera.
Apne Gham Bhool Ke Baba.
Bas Mujhe Fikar-e-Ali Hai.
Sharam Aati Hai Bhala Tum Ko Bataon Kaisay.
Yeh Tamachay Ka Nishaan Tum Ko Dikhaon Kaisay.
Tum Na Pehchan Sako Gay.
Dekh Kar Mujh Ko Kaho Gay.
Kya Meri Zahra Yehi Hai.
Qabar-e-Zahra Se :TAKALLUM: Yeh Sada Aati Hai.
Kitni Sadiyon Se Meri Qabar Pe Veerani Hai.
Phool Turbat Pe Charha De.
Ik Diya La Ke Jala De.
Kya Madine Mein Koi Hai.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2024-25:
Soz: :Mir Hasan Mir:
Ayyam-e-Fatima New Noha 2025
#TeriZehraPay
#NohayLyrics
#tajpoint