Hussain Ka Sar Zeeshan Abidi Lyrics Urdu 2024
Hussain Ka Sar Zeeshan Abidi Lyrics In Urdu
Behan Ke Samne Kata Gaya Hussain Ka Sar.
Utha Ke Roti Rahein Fatima Hussain Ka Sar.
Zameen Pe Aisay Giri Phir Nahi Uthi Zainab.
Jab Oss Ke Samne Kat Kar Gira Hussain Ka Sar.
Kabhi Gala Kabhi Gardan Pe Maa Ne Hath Rakha.
Badan Se Ho Gaya Phir Bhi Juda Hussain Ka Sar.
Inhein Sanwara Hai Zahra Ne Apne Hathoon Se.
Aye Shimar Baloon Se Youn Na Utha Hussain Ka Sar.
Jahan Pe Rakha Tha Sandooq Mein Sar-e-Akbar.
Sitamgaron Ko Wahin Se Mila Hussain Ka Sar.
Khushi Manata Tha Kholi Batool Roti Thin.
Jab Ik Tanoor Mein Rakha Gaya Hussain Ka Sar.
Sitamgaron Ne Katay Sar Ki Bhi Ragein Katein.
Safar Mein Our Bhi Zakhmi Howa Hussain Ka Sar.
Pakar Ke Baal Sakina Ko Shimar Ne Mara.
Jab Oss Ke Samne La Kar Rakha Hussain Ka Sar.
Lipat Ke So Gayi :ZEESHAN: Baap Se Beti.
Andheri Qaid Mein Jis Dam Mila Hussain Ka Sar.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Zeeshan Abidi:
Noha Volum: :Zeeshan Abidi 2024-25:
Composition: :Zeeshan Abidi:
#HussainKaSar
#NohayLyrics
#tajpoint