Utha Hai Phir Janaza Khair Ul Nisa Ke Ghar Se Lyrics 2024
Utha Hai Phir Janaza Khair Ul Nisa Ke Ghar Se.
Ummat Ne Mar Dalay Maula Hasan Zehar Se.
Pehlu Pe Hath They Our Zahra Ke Bain Gonjay.
Qabar-e-Nabi Hai Larzi Faryad Ke Asar Se.
Taboot Se Lipat Ke Shabbir Ro Rahe Hain.
Jaisay Keh Aaj Utha Baba Ka Saya Sar Se.
Waqt-e-Judai Aaya Kuch Aisa Mujtaba Par.
Behno Ke Sar Ko Dekha Hasrat Bhari Nazar Se.
Baad Az Rasool Aisay Dushman Howa Zamana.
Zahra Ke Ladlay Ki Maiyyat Pe Teer Barsay.
Kaisi Hai Aayi Ghurbat Sibt e Nabi Ka Lasha.
Pehlu Mein Mustafa Ke Do Gaz Zameen Ko Tarsay.
Teeron Ne Aa Ke Roka Masmoom Ka Janaza.
Taboot Mujtaba Ka Jaisay Hi Nikla Ghar Se.
Girtay Rahe Lahu Ke Qatrey Wahan Wahan Pe.
Masmoom Ka Janaza Guzra Jidhar Jidhar Se.
Maiyyat Pe Mujtaba Ki Shabbir Keh Rahe They.
Waqt-e-Judai Aaya Nana Ke Ab Shehar Se.
Tableeg Ka Sila Yeh Kaisa Mila Hai :AZHAR:.
Aanso Lahu Ke Tapkay Zahra Ki Chashm-e-Tar Se.
Poet: :Syed Azhar Abbas Al-Hasani:
#UthaHaiPhirJanaza
#NohayLyrics
#tajpoint