Assalam-o-Alaikum! Ya Ali AS Madad. Aaj hum is post mein Qatal e Zahra Ko Na Dunya Se Chupaya Jaye ke mukammal lyrics In Urdu share kar rahe hain. Yeh noha Izan Abbas Group Sialkot aur Chan Peer Party Behlol Dana Sialkot ne parha hai. Yeh noha Bibi Fatima Zahra ke hawale se pesh kiya gaya hai. Yeh Noha Lahore Ke Shayar Ahsan Nadir Butt Ne Likha Hai Jab Ke Iss Noha Ki Composition Sialkot Ke Izan Abbas Khan Ne Tarteeb Di Hai. Iss Noha Ko Sab Se Pehle 03 Jamadi Ul Sani 1448 Hijri 2026 Ko Markazi Imam Bargah Dar-e-Batool(SA) Adda Pasroriyan Sialkot Mein Parha Gaya Tha. Iss Ki Video Hamare Channel Par Mojood Hai Aur Niche Link Bhi Mojood Hai.
Noha Information & Details
| Noha Name | Qatal e Zahra Ko Na Dunya Se Chupaya Jaye |
| Reciter | Izan Abbas Group Sialkot |
| Sangat | Chan Peer Party Behlol Dana Sialkot |
| Poet | Ahsan Nadir Butt (Lahore) |
| Composition | Izan Abbas Khan (Sialkot) |
| Year | 2026 |
| Islamic Date | 03 Jamadi Ul Sani 1448 Hijri |
| Date | 14-Nov-2026 |
| Location | Markazi Imam Bargah Dar-e-Batool(SA) Adda Pasroriyan Sialkot |
Watch on YouTube
Click Here to Watch on YouTube
Qatal e Zahra Ko Na Dunya Se Chupaya Jaye Lyrics in Urdu
Kaun Qatil Hai Zamane Ko Bataya Jaye.
1- Khon Khatoon-e-Qayamat Ka Bahane Walay.
Kaun They Loag Dar-e-Zahra Jalanay Walay.
Iss Haqeeqat Se Bhi Ab Pardah Hataya Jaye.
2- Kya Howa Teen Maheeney Hi Faqat Bad-e-Nabi.
Jee Saki Dunya Mein Ikloti Nabi Ki Beti.
Koi Tu Hoga Sabab Dhond Ke Laya Jaye.
3- Kin Se Naraz Thin Zahra Jo Ali Se Yeh Kaha.
Main Jo Mar Jaon Tu Chup Chaap Janaza Mera.
Shab Ki Tareeki Mein Yasrab Se Uthaya Jaye.
4- Haq-e-Zahra Ko Biyaan Karna Agar Jurm Hai Tu.
Jurm :NADIR: Sar-e-Bazar Yeh Tum Kartay Raho.
Chahe Soli Pe Bhi Ab Tum Ko Charhaya Jaye.
Poet: :Ahsan Nadir:
Soz: :Izan Abbas Khan:
Noha Khuwan
Izan Abbas Group Sialkot
Matami Sangat
Qademi Markazi Matami Dasta
Chan Peer Party Behlol Dana Sialkot
#QataleZahraKo
#NohayLyrics
#tajpoint
Umeed hai ke aapko yeh write-up pasand aaya hoga. Mazeed lyrics ke liye Taj Point visit karte rahein.
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
