Sabar Ki Yeh Kaisi Manzil Pe Khara Sajjad Hai Lyrics 2024

Sabar Ki Yeh Kaisi Manzil Pe Khara Sajjad Hai Lyrics 2024

Sabar Ki Yeh Kaisi Manzil Pe Khara Sajjad Hai.

Ibtida e Karbala Ki Inteha Sajjad Hai.

Pusht-e-Abid Par Raqam Hai Karbala Ki Dastaan.
Ghairaton Ke Bojh Se Haye Jhuk Gaya Sajjad Hai.

Nook-e-Neza Par Hussain Ibn-e-Ali Bhi Hain Magar.
Aayaton Ke Qafilay Ka Rahnuma Sajjad Hai.

Taziyane Tauq Langar Aablay Our Beriyaan.
Har Saza Yeh Janti Hai Be Khata Sajjad Hai.

Be Rida Hai Maa Behan Our Shamiyon Ka Hai Hajoom.
Hans Rahe Ahl-e-Sitam Our Ro Raha Sajjad Hai.

Gir Ke Nezay Se Sar-e-Shah-e-Wafa Ne Yeh Kaha.
Sabar Ki Har Had Se Aagay Ba Khuda Sajjad Hai.

Sham Ke Bazar Mein Thi Be Rida Bint-e-Ali.
Yeh Zakhm Dil Pe Liye Hi Ja Raha Sajjad Hai.

Nook-e-Neza Pe Khuda Ki Hujatein Bhi Ro Parin.
Jo Parha Na Ja Sakay Woh Marsiya Sajjad Hai.

Samne Iss Ke Tamachay Hain Sakina Ko Lagay.
Hath Rakhay Bas Jigar Pe Dekhta Sajjad Hai.

Iss Jawani Mein Bhi Koi Khon Rota Hai Bhala.
Kaun Yeh Jane Keh Kitna Ghamzada Sajjad Hai.

Khon Sara Hi Jigar Ka Aankh Se Hai Beh Gaya.
Ghairaton Ke Marz Borha Kar Diya Sajjad Hai.

Sham Ka Bazar :AZHAR: Jis Ko Bhola Hi Nahi.
Khon Rota Aaj Dunya Se Chala Sajjad Hai.

Poet: :Syed Azhar Abbas Al-Hasani:
Noha Khuwan: :Adil Babu Khan:
Composition: :Adil Babu Khan:

Matami Sangat Miran Muhammad Baqir Behlol Dana Sialkot.

#SabarKiYeh
#NohayLyrics
#tajpoint

Sabar Ki Yeh Kaisi Manzil Pe Khara Sajjad Hai Lyrics 2024 Write Up Poster Image

Sabar Ki Yeh Kaisi Manzil Pe Khara Sajjad Hai Lyrics 2024

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
error: Content is protected !!