Halat e Abbas Pe Giriya Kuna Shabir Hai Lyrics In Urdu 2026

Assalam-o-Alaikum! Ya Ali AS Madad. Aaj hum is post mein Halat e Abbas Pe Giriya Kuna Shabir Hai ke mukammal lyrics In Urdu share kar rahe hain. Yeh noha Dasta Panjtan Pak Sialkot Cantt aur Bint e Muhammad Sialkot Cantt ne parha hai. Yeh noha Hazrat Ghazi Abbas Allamdar ke hawale se pesh kiya gaya hai. Yeh Noha Sialkot Ke Shayar Syed Yousuf Raza Naqvi Ne Likha Hai Jab Ke Iss Noha Ki Composition Adeel Abbas Kamalvi Ne Tarteeb Di Hai. Iss Noha Ko Sab Se Pehle 25 Safar 1448 Hijri 2026 Ko Imam Bargah Cantt Sialkot Mein Parha Gaya Tha. Iss Ki Video Hamare Channel Par Mojood Hai Aur Niche Link Bhi Mojood Hai.

Halat e Abbas Pe Giriya Kuna Shabir Hai

Noha Information & Details

Noha NameHalat e Abbas Pe Giriya Kuna Shabir Hai
ReciterDasta Panjtan Pak Sialkot Cantt
SangatBint e Muhammad Sialkot Cantt
PoetSyed Yousuf Raza Naqvi (Sialkot)
CompositionAdeel Abbas Kamalvi
Year2026
Islamic Date25 Safar 1448 Hijri
Date09-Aug-2026
LocationImam Bargah Cantt Sialkot

Watch on YouTube

Click Here to Watch on YouTube

Halat e Abbas Pe Giriya Kuna Shabir Hai Lyrics in Urdu

Halat e Abbas Pe Giriya Kuna Shabir Hai.
Sar Ka Khoon Ik Aankh Mein Hai Dosri Mein Teer Hai.

1- Fatima Zahra Ke Mohsin Ka Badal Abbas Tha.
Haye Badal Abbas Tha.
Qatal-e-Ghazi Qatal-e-Mohsin Ki Asal Tafseer Hai.

2- Jab Chaley Khiyam Se Ghazi Tu Zainab Ne Kaha.
Haye Zainab Ne Kaha.
Aaj Se Khatray Mein Meri Chadar-e-Tatheer Hai.

3- Khak Pe Abbas Ko Dekha Tu Kehte Hain Hussain.
Haye Kehte Hain Hussain.
Main Hussain Ibn-e-Ali Our Kya Meri Taqdeer Hai.

4- Baad Ghazi, Zainab-o-Abid, Sakina Ke Liye.
Haye Sakina Ke Liye.
Taziyane Hain Tamachay Hain Tu Ya Zanjeer Hai.

5- Zulm Jitnay Sakina Ne Sahey Sab Baad Mein.
Haye Sahey Sab Baad Mein.
Chehra e Abbas Pe Pehle Howa Tehreer Hai.

6- Iss Qadar Zakhmi Howa Maqtal Mein Ainullah Ka Lal.
Haye Ainullah Ka Lal.
Ja Baja Maqtal Mein Haider Ki Pari Tasveer Hai.

Poet: :Syed Yousuf Raza Naqvi:
Composition: :Adeel Abbas Kamalvi:
Matami Sangat: :Bint e Muhammad Sialkot Cantt:
Noha Khuwan: :Dasta Panjtan Pak Sialkot Cantt:

#HalateAbbasPe
#NohayLyrics
#tajpoint


Umeed hai ke aapko yeh write-up pasand aaya hoga. Mazeed lyrics ke liye Taj Point visit karte rahein.

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔